Net Banking ki wajah se aaj Banking kafi suvidhajanak ho gaye hai. Lekin isme kai jokhim bhi hain. Iska khub istemal kare, lekin isse jude security features ko achhi tarah se samajh le.
Net Banking aaj esi behtareen suvidha ho gai hai ki jiski
vajah se logo ko Bank jane ki zarurat nahi padti. Kai logo ko to ab Bank gaye
hue mahino ya kai saal ho jate hai. Lekin Net Banking karne ke kai jokhim bhi
hai. Isliye Net Banking ka aap khub istemal kare, Lekin inse jude security
feature ko achhi tarah se zarur samajh le.
Net Banking ke fayde
Aap Net Banking se apan balance dekh sakte hai. Pichle kai
mahino ka statement le sakte hai., Apne kisi check ke liye stop pement kar
sakte hai, Bilo ka bhugtan kar sakte hai ya Check book ve Draft ke liye request
bhej sakte hai. In sabke liye aapko bas ek internet connection ki zarurat padti
hai.
Kis tarah ka hai zokhim
Net Banking karne par kai tarah se Cyber Crime ki shikar
hone ka jokhim rehta hai. Phishing ke dwara aapke id or password ko churaya ja
sakta hai. Ese farji mail bheje ja sakte hai, jisme yeh dhikaya gaya ho ki Bank
aapki jaankari update karne ke liye aapka id or password ya Bank account ka koi
anye detail maang raha hai.
Kese ho suraksha
Apne bank ki website address
ya URL ko yaad rakhe. Yadi kisi alag tarah ka URL khulta dikhe to sachet
ho jaye, veh farji website ho sakti hai. Bank account ko kholen ke liye hamesha
bank ke URL ka hi istemal kare. Mail me aye kisi link par kabhi click kar iska
istemal na kare. Is tarah se aap
phishing ka shikar ho sakte hai.
Dhyan rahe ki aapke bank ka URL HTTP ki HTTPS se shuru hota
hai. Yaha ‘S’ ka matlab secure site se hai. Sahi website ho to hi apne user id
or password ka istemal kare. Apne computer
ke operating system or browser ko latest security system ke sath update
rakhe. Jab bhi sambhav ho one-time password suvidha ka upyog kare.
Is tarah ka one-time password apke phone number par ya Email
par aata hai. Isliye koi bhi iska durupyog nahi kar sakta hai.
Ese kisi vyakti ya
organization ki taraf se aye kisi programme ya file ko open , run ya install na
kare, jise aap nahi jante ya jo koi famous vendor nahi hai. Is baat ko achhi
tarah samajh le ki kisi bank ka koi partinidhi kabhi bhi phone ya email se
aapke user id, credit card number ya password
ki jaankari nahi mangta. User name ya password save karne ke browser
option par kabhi bhi click na kare. Jahan tak sambhav ho kisi Cyber café se
internet banking ke istemal se bache. Isi tarah free Wi-Fi wali jagah se bhi
internet ka istemal zyada surakshit nahi hota.
Password ho mazbut
Aapka password kafi mazbut hona chahiye. Sabse achha
password uuse mana jata hai jisme Upper or Lower case letter, Number or special
character ek sath ho. 2 ya 3 mahine me apna password zarur badle or use achhi
tarah se yaad kar le. Aasani se guess karne vala password kabhi na rakhe jese
apna pehla naam, janamtithi ya mobile number ya jese 1234 ya abcd etc. Yadi
aapke paas kai bank account hai to sabke password ek rakhne ki bhul na kare.
No comments:
Post a Comment