Risk or nakamyabi se daren nahi, kyunki ye hame kuchh na kuchh naya sikhate hai. Ha, risk lene ke doran focused zarur rahe. Google ke CEO Sunder Pichai ke tips...
Sunder Pichai |
Name:- Pichai Sundararajan
DOB.:- 12th July, 1972
Place:- Madurai, Tamil Nadu, India
Citizenship:- United States of America
Occupation:- CEO of Google
Employer:- Google (2004-present)
Salary:- US$ 199.7 million (2016)
Net worth:- US$ 1.2 Billion (2017)
Spouse(s):- Anjali Pichai
Children:- 2
Ek sadharan parivaar se talluk rakhne wala yuvak bachpan ke dino me cricketer banne ka sapna dekhta hai, Lekin jab veh bada hota hai, to software se khelne lagta hai or ek din duniya ki bahut badi company ka CEO ban jata hai. Ji han, Hum baat kar rahe hai Google ke CEO Sunder Pichai ki. Aaj ke nojavaano ke hero Sunder Pichai ka pura naam 'Pichai Sunderrajan' hai. Unke pita ek British Company GEC me Electrical Engineer ke pad par the. Unhe bachpan se hi khel se kaafi lagaav raha hai. Apne school ki cricket team ke captain reh chuke hai. Unhone Chennai ke Padma Soshadri Bala Bhavan school se padhai ki hai. Chennai ke Sunder Pichai ne IIT Khadarpur se engineering ki padhai ki hai. Khadarpur se Bachelor karne ke baad unhone Masters ki Degree Stanford University se haasil ki. Fir unhone Pennsylvania University se MBA kiya.
Jahan hum kaam karte hai, vahan hume yeh khud se bhi puchhna chahiye ki kya hum yeh sahi kaam kar rahe hai, kaam me kuchh kami to nahi reh gai, tabhi hum aage badh payenge.
Silicon Valley me Ideas develop kiye jate hai, Agar veh asafal ho jaye, to bhi veh samman ki baat hoti hai, Isliye hamesha try karne rehna chahiye.
Google ka safar
Google join karne se pehle ve Mecenji & Company ke management consulting cell me kaam karte the. Is company me engineering or product management ke liye bhi kaam kiya. Fir saal 2004 me unhone Google join kiya. Unhone Google Chrome OS or Chrome Browser ko logo tak pahunchaya. Google product me Chrome kaafi popular browser hai. Sath hi, Unhone Google ke Chrome OS, Android, Chrome or Apps Division ko nahi unchaniyo par pahuchaya. 2008 me unhe Google ne product designing ka vice president niyukt kiya or saal 2015 me ve Google ke CEO ban gaye. Ve kehte hai, Google bahut hi mazedar jagah hai. Google me hum log hamesha problems ke solution ke bare me sochte rehte hai.
Mujhe bachpan se hi technology se kaafi pyar tha. Jab ghar me telephone ka connection aaya tha, to 6 digit vale saare number mujhe yaad the. Ghar me kisi family member ka number dial karna hota tha, to ve mujhse hi number puchhte the. Pehla phone 1995 me liya tha, Ab mere paas kareeb 20 smartphone hai. Kuchh phone testing ke liye hai.
Me bachpan me Cricketer banna chahta tha. Sunil Gavaskar jab khelte the, tab me unko bada fan tha. Baad me Sachin Tendulkar ka mureed ban gaya. Me hamesha se unki tarah khelne ka sapna dekha karta tha. Aaj Me Google me hu, Agar nahi hota ho bhi software hi develop kar raha hota.
Risk lene se darna nahi chahiye
Sunder Pichai kehte hai ki risk lene se ghabrana nahi chahiye. Life me aage badhne ke liye risk lena zaruri hai, Kyunki isse aapko kuchh-na-kuchh naya sikhne ko milta hai. Halanki, Aaj ki yuva pidhi risk lene ke mamle me aage hai. Yuva isse ghabrate bhi nahi hai. Kai log nakamyad hose se darte hai, Lekin nakamyab hone par bhi nirash nahi hona chahiye, Balki isse sikh leni chahiye. Silicon Valley me nakamyab hone vale Start-Up ko bhi samman ki nazar se dekha jata hai, Kyunki unhe lagta hai ki use kuchh to sikha. India me bhi Start-Up culture ke liye sabhi sabhi chize mojud hai. Desh ko aage badhane ke liye yuva entrepreneur ki zarurat hai. Halanki khud ko Re-Ivent karne ke liye lagataar avsaro ki talaash karte rehna chahiye. Hum India ko lekar zyada dilchaspi isliye bhi rakh rahe hai, Kyunki yeh yuvaon ka desh hai. Yaha creativity hai, Idea hai or Talent hai. Avsar to aate-jaate rahenge, Lekin focus bana rehna chahiye, Yeh bahut zaruri hai.
No comments:
Post a Comment