Hair Dryer |
Hair Dryer
Baal sukhane wale upkaran ka khol plastic ka bana hota hai.
Isme Nichrome ke taar ki kundli or ek chhota sa pankha laga hota hai. Isme 2
switch hote hai, Jinme ek pankhe ko chalata hai. Dusre switch ko on karne par Nichrome
ke taar me bijli parvahit hone lagti hai. Jab ek switch ko on kiya jaata hai to
pankha chalne se thandi hava bahar aane lagti hai. Par jab dusre switch ko on
karte hai to Nichrome ke taar garam ho jate hai. Falsawrup pankhe se aane wali
hava garam jo jaati hai or isi garam hava ka paryog baalo ko sukhane ke liye
kiya jaata hai.
No comments:
Post a Comment