Phone Unlock


Aksar user apne phone me Lock pattern laga kar rakhte hai, Jisse personal information leak hone ka dar nahi rehta hai. Lekin pareshani yeh hai ki mobile kuchh bhi dekhne ki liye bar-bar unlock karna padta hai. Har waqt lock pattern ya password use karna boring or irritating  lagne lagta hai. Lekin smart Lock Feature me yeh sab dikkat nahi hai. Yeh automatic unlock app hai, Jo ghar ya workplace jese surakshit  jagaho par pahunchne par phone ko unlock kar deta hai. Darasal, yeh smart lock feature phone ke GPS sensor ke aadhar par kaam karta hai. Or aapki position ka pata laga leta hai.
Yeh feature Android 5.0 ya phir upar ke version me istemal hota hai. Agar ise activate karna chahte hai, to setting menu ke security option par jaakar smart lock feature ke ‘ Trusted Places ‘ par click karna hoga. Android smartphone ko unlock karne ke liye Trusted Voice or device jese option ko bhi set kar sakte hai. Agar Android 4.4.4 Kit Kat  ka istemal kar rahe hai, to yeh suvidha hasil karne ke liye ‘Smart Lock Screen’ feature Google Play Store se install kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Technology

Ever noticed white spots on your nails? How do we get them?

The white spots on our nails are called leukonychia. Most of the times these are caused by some injury to the matrix of nails. Just like a b...