Agar aap Wi-Fi ka password bhul gaye hai to ye kare

http://amzn.to/2EtnB4K
WiFi


WiFi


Aamtor par home Wi-Fi ko log Auto settings par rakhte hai, yani jese hi network ke dayre me aate hai, Wi-Fi se connect ho jate hai. Lekin jab aap koi naya device lete hai ya fir koi dusra family member ghar par aata hai, to uske baad fir password ki khoj shuru ho jaati hai. Password bhulne ki isthiti me fir se uuse reset karna padta hai. Lekin aap ese bhi bhule hue password ko haasil kar sakte hai. Agar aapke paas Windows Computer hai, to jis computer se network connected hai, uuse open kare, Fir 'Start' 'Control Panel' 'Network and sharing' me jaye.
Uske baad aap change adapter settings par click kare. Aap jis Wi-Fi network ka istemal kar rahe hai. Us par right click kare. Fir status par click kare. Wireless properties par click kare, Uske baad security tab par bhi click kare.
Ap aapko Wi-Fi network ka naam or chhipa hua password dikhai dega. Show characters par check karne se aapka save kiya hua password dikhne lagega. Password dhundhne ka ek or tarika hai. Computer par third party App install kar ke bhi password ko recover kar sakte hai. Iske liye aap WiFi Password Revealer ko download kar sakte hai. 

No comments:

Post a Comment

Technology

Ever noticed white spots on your nails? How do we get them?

The white spots on our nails are called leukonychia. Most of the times these are caused by some injury to the matrix of nails. Just like a b...