Data Science me banaye career

Data Scientist

Aankdo ke baazigar

Aaj ka dour bahut hi competetion wala hai. Aapko kuchh hat kar karna hoga, warna aap bahut peche rah jaoge. Educaton sector me baat bahut mayne rakhti hai. Aapko paramparagat course se alag kuchh or karna hoga. Aapko bheed se hat kar chalna hoga. Me aap ko ese course ke bare me bata raha hu jo aaj ki industry ke hisaab se demand me hai.


 
 
Aaj har or deta bikhra hai. Facebook posts, Social media blogs, Tweets, Telephonic concersations, You-Tube videos, websites, E-Commerce start-ups sabhi jagah digital deta ki bharmar hai. Yahi nahi Iphone ke excelometer se lekar internet tak, sabhi sensor deta transmit karte hai. Lekin yeh unstructured hota hai, Jise structure par information nikali jaati hai. Maslan, jab aap kisi E-Commerce site se kuchh kharidari karte hai, to uske pattern se yeh pata lagaya jata hai ki aap or kya pasand kar sakte hai? Real time me is tarah ki bhavishyevani back end me store ho rahe deta ki vajah se possible ho pati hai. Ye kaam deta scientist karte hai, Jo aankdo ki bazigari or algorithm ki madad se future me hone wale sambhvit frod, business ke nuksan ke bare me pata laga lete hai. Isse companies samay rehte sahi kadam uthha pati hai. Aaj KPO, Insurance, Banking, Finance, Logistics, Retail, Health care jese tamam sectors me Data Scientist ki zarurat hai.

Work Profile

Data scientist future me kaam aane wali information ko save or uska classification karte hai. Ve informations ke dher se yeh janne ki koshish karte hai ki data kis area me istemal kiya jata hai or kis parkar anye informations ko jodkar ise adhik upyogi banaya ja sakta hai. Real time me lakho call detail records par research karna, surveillance camera se sekdon live videos feeds ko control karna jese kaam data scientist karte hai. Isi tarah Facebook, Google Plus, LinkedIn jese social media network ka sanchalan deta scientist hi karte hai.

Education & Skills

Data Scientist deta ko dekhkar market or business ka rukh bata sakte hai, Isliye candidates ke paas inter disciplinary skills honi chahiye. Maslan, computer science ya machine learning skills, statistical or Applied mathematics ke knowledge honi zaruri hai. India me IIT Kharagpur, Indian Institute of Science Bangluru or IIM me joint partnership programme ke tehat data science se related course offer kiye jaate hai. Inke alaava, INSOFE, Jigso jese Analytical certification courses bhi hai, jo lokpriye ho rahe hai. Vahi US ki kai universities deta science me masters programme kara rahi hai. Inme Barclay, Stanford jesi global universities MOOC platform ke zariye Coursera jese virtual courses bhi run kar rahi hai. Aaj companies bakayda ese professionals ko train bhi kara rahi hai.

Industries me opportunities

Industry ko aaj ese expert deta scientists ki zarurat hai. Jinki market me kaafi kami hai. Aankdo par bharosa kare to, aane wale waqt me duniya bhar me karib 1.90 lakh trend deta scientist ki zarurat hogi. Isme karib 60 percent deta scientist ki zarurat akele India me hogi. Khaaskar E-Commerce companies me, jo real time me bahut badi matra me data access karti hai. Iske alava, Farmaceuticals companies, Medical device manufacturers, Financial Service providers, Travel portals, Hospitality sector me data scientist ki achhi demand hai.

Institutes jahan se app yeh course kar sakte ho

  1. IIT Kharagpur (www.iitkgp.ac.in)
  2. Sent Xavier's college, Mumbai (www.xaviers.edu)
  3. Graphic Era University (www.geu.ac.in)
  4. Kongu Engineering college, Tamil Nadu (www.kongu.ac.in
 


No comments:

Post a Comment

Technology

Ever noticed white spots on your nails? How do we get them?

The white spots on our nails are called leukonychia. Most of the times these are caused by some injury to the matrix of nails. Just like a b...