Windows ke kuchh useful software's

 

 

Sandboxie

Kai baar esa hota hai ki jab aap jaante hai ki kisi file ya programme ko kholna PC ke liye khatarnak ho sakta hai, Fir bhi aap uuse khol dete hai. Agar aap esa kare bhi hai, to bahut zaruri hai ki kuchh protection ho. Ese me is tarah ki files ya fir programmes ko run karne ke liye aap 'Sandboxie' ka istemal kar sakte hai. Aap is tarah ke kisi bhi programmes ko Sandboxie par run kar sakte hai. Isse aapka PC bhi surakshit reh jaata hai. Yeh Aap testing ke lihaaz se bhi upyogi hai. Iske alaava , Yeh kai baar browser dwara download hone se rokta hai. Sath hi, Privacy ko bhi badhata hai.

WinDirStat

Jab aapke computer me space kam hota hia, to kai baar aapko bhi lagta hoga ki saara space aakhir gaya to kahan gaya? Ese me space se related jaankari aapko WinDirStat se mil jayegi. Yeh programme aapke pure computer ko scan karke bata deta hai ki sabse bada folder konsa hai, Kon  si biles sabse adhik space le rahi hai, Aadi. Ho sakta hai, ki pata chalne ke baad aap disk ko clean karne ke bare me bhi soche. Isme Microsoft  ke alag-alag versions ke liye cleanup tools bhi hai. Agar aap Linux ke liye isi tarah ke tools khoj rahe hai, to KDirStat or Mac OS ke liye Disk Eventry X or Grand Perspective ka istemal kar sakte hai.
 

Wireless Network Watcher

Kya aap apne networks par sabhi computer ke sath uske IP address, Mac address or dusre informations dekhna chahte hai? ya fir aap apne networks ki planning kar rahe hai or aapko shak hai ki koi aapke WiFi ki chori kar raha hai, to wireless network watcher upyogi tools hai. Vese to iska naam wireless network watcher hai, Lekin yeh voired networks ke saath bhi kaam karta hai. Iske alaava, aap NirSoft's networks tools ko bhi try kar sakte hai. Ise apni zarurat ke hisab se bhi upyog kiya ja sakta hai.
 

MalwareBytes

Yeh aapke windows ko unwanted programme ya virus se surakshit rakhta hai. Ho sakta hai ki aapke computer me ek behetreen Anti virus programme hamesha run karta ho, Lekin ek anti virus sabhi chizo ke pakadle, eesa mushkil se hi hota hai. Isiliye dusre programme ki bhi zarurat padti hai. MalwareBytes isliye usefull hai, kyunki yeh keval on demand work karta hai. Iska matlab yeh hai ki jo anti virus programme aapke computer me run kar raha hai, use takrav nahi hota hai.
Iske alava, virus total uploader kisi bhi individual file ko scan karne ki suvidha deta hai. Isme 50 se adhik anti virus tools hai. Agar kabhi aapko lagta hai ki aapne kuchh unwanted ye fir Fishi files ko download kar liya hai, to yeh aapke liye upyogi ho sakta hai. Agar kabhi achanak hi aapne koi tools bar install kar liya hai, lekin veh hat nahi raha hai, to ADW cleaner isme aapki madad kar sakta hai.

No comments:

Post a Comment

Technology

Ever noticed white spots on your nails? How do we get them?

The white spots on our nails are called leukonychia. Most of the times these are caused by some injury to the matrix of nails. Just like a b...