Farsh se Arsh tak ka safar. Ameen Sheikh

Slum area me pale -badhe. Satvi tak padhai ki. Veh bhi Mumbai ke municipality school se. 5 saal ki umr me canteen me chay bechi. Logo ke gharo me akhbar pahuchaya. Station par coli ka kaam kiy. Vaha raat tak guzari. Fir kisi-kisi ki madad se driving sikhi. Mumbai ke ek naami Artists ke ghar bator driver 4 saal tak kaam kiya. Lekin ek din waqt ne karat li or Ameen Sheikh ne khud ko badalne ke sath dusre street children ko bhi mukhyedhara se jodne ka decision liya. Inka sapna ek coffe shope-cum-library kholne ka hai, Jaha kisi ke sath koi bhedbhav na ho, sab barabar ho. Yahi nahi, Uska sanchalan street children hi kare.

Ameen Sheikh ki kahaani unhi ki zubani

Khud se laana hoga badlav

Hamare desh me log badi-badi bate karte hai. Badlav lane ke dave kiye jate hai. Lekin dharti par esi koshishe hoti kam hi nazar aati hai. Desh me hazaro ki tadad me bachhe sadak kinare ya anathalyo me reh rahe hai, Lekin kuchh ko hi god father mil pata hai, Jo unhe ache-bure, sahi-galat ka farq samjha sake. Unhe aage badhne, padhne-likhne ka moka de sake. Aaj agar meri pehchan hai, to ise banana me desh-videsh ke kuch khas logo ke alava khud ki ichhashakti or mehnat bhi rahi hai. Usi ne mujhe desh-videsh ghumne or zindagi ke asal mayne sikkne ka avsar diya hai. Meri kitaab Life is Life, I m Becouse of You aaj 8 bhashao me parkashit ho chuki hai or best seller rahi hai.

Spain ka safar bana turning point

27 April, 2003 veh tareekh thi, jab mene apne mentor ki madad se pehli baar havai yatra ki thi. Unhone mujhe Christmas gift ke tor par Spain jane ka moka diya tha. Vaha mene dekha ki koi Gair-Barabri nahi thi. Iske baad kai or desho ki yatra ki. Travelling ke doran hi jaana ki duniya, me paese se aage bhi bahut kuch hai. Jab aap ache hoge, to logo ka vyavahar bhi vesa hi hota. Aaj meri apni taxi service hai. Itna kamata hu ki khud ke sath-sath us samaj ko bhi de saku, jaha mere jese dusre log aaj bhi zindagiki jang lad rahe hai. Jinke pita apne bachho ko acchi shiksha nahi de sakte, Me un sabhi ke liye kuch karna chahta hu. Sarkar ke sahare nahi, Balki khud ke bal par. 
 

1 comment:

Technology

Ever noticed white spots on your nails? How do we get them?

The white spots on our nails are called leukonychia. Most of the times these are caused by some injury to the matrix of nails. Just like a b...